Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel
Hanuman Chalisa - Hanuman ChalisaDownload APP Now - Download APP NowAditya Hridaya Stotra - Aditya Hridaya StotraFollow Bhakti Bharat WhatsApp Channel - Follow Bhakti Bharat WhatsApp Channel

Sankatmochan Hanuman Ashtak (संकट मोचन हनुमानाष्टक)


Sankatmochan Hanuman Ashtak
॥ Hanuman Ashtak ॥
Baal samai ravi bhakshi liyo tab,
teenahu loka bhayo andhiyaro ।
Taahi so traas bhayo jag ko,
yah sankat kaahu so jaat na taaro ।
Dewan aani kari bintee tab,
chaadhi diyo ravi kasht niwaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tihaaro ॥1॥
Baali ki traas kapees basai giri,
jaat mahaaprabhu panth nihaaro ।
Chownki mahaa muni saap diyo tab,
chahiy kaun bichaar bichaaro ।
Kai dwij roop liwaay mahaa prabhu,
so tum daas ke sok niwaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥2॥

Angad ke sang lain gaye siya,
khoj kapees yah baain uchaaro ।
jeevat na bachihau hum son ju,
bina sudhi laay ehaan pagu dhaaro ।
Hayri thake tatt sindhu sabaai tab,
laay siya-sudhi praan ubaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥3॥

Raavan traas dayee siya ko sab,
raakshashi so kahi sok nivaaro ।
Taahi samay hanuman mahaprabhu,
Jaay mahaa rajneechar maaro ।
Chaahat seeya asoka so aagi su,
dai prabhu mudrika soka nivaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥4॥

Baan lagyo ur lakshiman ke tab,
praan taje sut raavan maaro ।
Lai griha baidya sushen samet,
tabai giri dron su beer upaaro ।
Aani sajeewan hath dayee taba,
lakshiman ke tum praan upaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥5॥

Raavan yudh ajaan kiyo tab,
naag ki phaas sabhi sir daaro ।
Sri Raghunath samet sabai dal,
moh bhayo yah sankat bhaaro ।
Aani khagesh tabai hanumaan ju,
bandhan kaati sutraas nivaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥6॥

Bandhu samet jabai ahiraavan,
lai raghunath pataal sidhaaro ।
Devhi puji bhalee vidhi so bali,
deu sabai mili mantra vichaaro ।
Jaay sahaay bhayo tab hi,
ahiraavan sainya samet sanhaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥7॥

Kaaj kiye barh dewan kei tum,
beer mahaaprabhu dekhi bichaaro ।
Kaun so sankat mohin gareeb ko,
jo tumso nahin jaat hai taaro ।
Begi haro hanumaan mahaprabhu,
jo kuch sankat hoya hamaaro ।
Ko nahin jaanat hai jag mein kapi,
sankat mochan naam tiharo ॥8॥

॥ Doha ॥
Laal deh laalee lase,
aru dhari laal langoor ।
Bajra deh daanavdalan,
jai jai jai kapi soor ॥

◉ The recitation of Hanuman Chalisa, Bajrang Baan and Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.

संकट मोचन हनुमानाष्टक हिन्दी में पढ़ें

बाल समय रवि भक्षी लियो तब।.. लाल देह लाली लसे, अरु धरि लाल लंगूर।...
Read Also

Mantra Hanuman MantraBalaji MantraBajrangbali MantraHanuman Janmotsav MantraMangalwar MantraTuesday MantraHanuman Path Mantra

Other Popular Sankatmochan Hanuman Ashtak Video

Satish Dehra

Sankatmochan Hanuman Ashtak By Times Music | Sooryagayathri

If you love this mantra please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this mantra for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shri Vishnu Stuti - Shantakaram Bhujagashayanam

Shantakaram Bhujagashayanam Padmanabham Suresham Vishvadharam Gaganasadrisham Meghavarnam Shubhangam ।

Shri Vishnu Mantra

Vishnu Moola Mantra ॐ Namoh Narayanaya॥ Vishnu Bhagawate Vasudevaya Mantra..

Venkatachala Nilayam

Venkatachala Nilayam Vaikuntha Purvasam, Pankaj Netram Param Pavitram, Shanka Chakradhar Chinmaya Roopam

Shri Narasimha Mantra

Ugram Veeram Mahavishnum Jwalantm Savrtomukhm । Narasimha Bheeshanm Bhadram Mrityumrityam Namamyaham ॥

Om Sarve Bhavantu Sukhinaha

Om Sarve Bhavantu Sukhinah। Sarve Santu Nir-Aamayaah। Sarve Bhadraanni Pashyantu...

Svasti Prajabhyah Paripalayantam

Svasti Prajabhyah Paripalayantam Nyayena Margena Maheem Maheeshah । Gobrahmanebhyah Subham Astu Tityam...

Shanti Mantra

The Shanti Mantras means peace Mantras is Hindu prayer for Peace, generally use at the end of religi

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
×
Bhakti Bharat APP