Vrindavan Me Hukum Chale,
Barsane Wali Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
Waha Dali Dali Par,
Waha Patte Patte Par,
Raj Radhe Ka Chalta,
Gao Ke Har Raste Par,
Charo Taraf Danka Bajata,
Brushbhanu Dilari Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
Koi Nandlaal Kahata,
Koi Gopala Kahata,
Koi Kahata Kanhaiya,
Koi Banshi Ka Bajaya,
Naam Badal Kar Rakh Dala,
Us Krishn Murari Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
Sabko Kahate Dekha,
Badi Sarkar Ho Radhe,
Lagega Paar Bhab Se,
Kaho Ek Baar Radhe,
Bada Gajab Ka Rutba Hai,
Uski Sarkari Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
Tamasa Ek Dekha,
Jara 'Banwari' Sunle,
Radhe Se Milne Khatir,
Kanhaiya Bhesh Hai Badle,
Kabhi To Chudi Wale Ka,
Aur Kabhi Pujhari Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
Vrindavan Me Hukum Chale,
Barsane Wali Ka,
Kanha Bhi Diwana Hai,
Shree Radhe Rani Ka ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!