In Uttar Pradesh's Vraj region this is a famous bhajan, sang by the Mahila Bhajan Mandali with Dholak.
Tere Pujan Ko Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ।
Kisne Jani Teri Maya,
Kisne Bhed Tumhara Paya ।
Hare Rishi Muni Kar Dhyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Tu Hi Jal Mein Tu Hi Thal Mein,
Tu Hi Man Mein Tu Hi Van Mein ।
Tera Rup Anup Mahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Tu Har Gul Mein Tu Bulbul Mein,
Tu Har Dal Ke Har Patan Mein ।
Tu Har Din Mein Murtiman,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Tune Raja Rank Banae,
Tune Bhikshuk Raj Baithaye ।
Teri Lila Ajab Mahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Jhuthe Jag Ki Jhuthi Maya,
Murakh Isamen Kyon Bharmaya ।
Kar Jivan Ka Shubh Kalyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Tere Pujan Ko Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ।
---- Extra Lines ----
Kis Ne Dekhi Teri Surat,
Kaun Banave Teri Murat ।
Tu Hai Nirakar Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Parvat Ghati Nadi Samandar,
Tu Ramta in Sab Ke Andar ।
Tere Bas Mein Sakal Jahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Tu Hain Van Mein, to Pranan Mein,
Tu Taru Taru Ke Patan Mein ।
Koi Na Duja Tere Saman,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Jal Mein Thal Mein Tu Hi Samaya,
Sab Jag Tera Jalva Chhaya ।
Tu Hai, Ghat Ghat Ke Darmiyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
Suraj Teri Mahima Gave,
Chanda Tujh Par Bali Bali Jave ।
Ishwar Kar Sab Ka Kalyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥