Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye Taruvar Ki Chhaya,
Aisa Hi Sukh Mere Mann Ko Mila Hai, Main Jab Se Sharan Teri Aaya। Mere Ram ॥
Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye...
Bhatka Hua Mera Mann Tha Koi, Mil Na Raha Tha Sahara।
Laheron Se Lagi Hui Naav Ko Jaise Mil Na Raha Ho Kinara। Mil Na Raha Ho Kinara।
Is ladkhadati Hui Naav Ko Jo Kisi Ne Kinara Dikhaya,
Aisa Hi Sukh Mere Mann Ko Mila Hai, Main Jab Se Sharan Teri Aaya। Mere Ram ॥
Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye...
Sheetal Bane Aag Chandan Ke Jaisi Raghav Krupa Ho Jo Teri।
Ujiyaali Poonam Ki Ho Jaye Ratain Jo Thi Amavas Andheri। Jo Thi Amavas Andheri।
Yug Yug Se Pyasi Marubhumi Ne Jaise Sawan Ka Sandes paya।
Aisa Hi Sukh Mere Mann Ko Mila Hai, Main Jab Se Sharan Teri Aaya। Mere Ram ॥
Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye...
Jis Rah Ki Manzil Tera Milan Ho Us Par Kadam Main Badhaun।
Phoolon Mein kharon Mein Patjhad Baharon Me Main Na Kabhi Dagmagaon। Main Na Kabhi Dagmagaon।
Pani Ke Pyase Ko Taqdir Ne Jaise Jee Bhar Ke Amrat Pilaaya।