Sukhi Mera Parivar Hai,
Ye Tera Upkar Hai,
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
Dekh Garibi Ghabraye Hum,
Rahte the Pareshan Ji,
Kismat Humko Leke Gayi Thi,
Phir Maiya Ke Dham Ji,
Najar Padi Meri Maiya Ki,
Bhara Pada Bhandar Hai,
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
Dabi Padi Hai Jhopdi,
Maiya Ke Ehsaan Se,
Bhari Padi Hai Kutiya Meri,
Bas Maan Ke Samaan Se,
Jab Bhi Manga Maiya Se,
Kiya Nahi Inkaar Hai,
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
Jab Jab Sankat Aata Hai,
Maan Ke Aage Rote Hai,
Hum to Iske Bharose Ji,
Khuti Taan Ke Sote Hai,
Har Pal Karti Rakhwali,
Ye Banke Pahredaar Hai
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
Maiya Ji Ka Dil Dekha,
Dil Ki Badi Dildaar Hai,
Is Parivaar Ko Ye Samjhe,
Khud Ka Hi Parivaar Hai,
Jaan Se Jyada ‘Banwari’,
Humse Karti Pyaar Hai,
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
Sukhi Mera Parivar Hai,
Ye Tera Upkar Hai,
Mere Ghar Ka Ek Ek Patthar,
Tera Karzdar Hai ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजनIf you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!