Aatma Ne Paramatma Ko Liya
Dekh Dhyan Ki Drishti Se ।
Prakaash Hua Hriday-hriday,
Beda Paar Hua Is Srishti Se ।
Hai Ek Onkar Niranjan Nirankar,
Hai Ajar Amar Aakar
Vishwadhara Man Bhaje ।
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
Bhookh Mein Tapasi Tap Raha,
Bhojan Beech Pathaya ।
Vilap Mein Sadhu Hans Raha,
Apna Hi Upja Khaya ।
Shesh Ashesh Vishesh Mein
Samarpan Ke Bhaav Mein ।
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
Thahar Shant Ekant Mein,
Saadhke Mooladhar ।
Sarjan Swadhishthaan Se,
Surya Mani Chamkaar ।
Vishuddhi Aagya Sahasaraar
Tak Goonje Anaahat ।
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
Khaali Ko to Bhar Diya,
Bhare Mein Bhara Na Jaye ।
Paani Mein Pyasa Raha,
Tat Pe Baith Lakhaya ।
Prashn Vyasn Mein Ulajh-ulajh
Haan Biratha Gaya Janm ।
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
Shivoham Shivoham Shivoham..
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!