Shiv Ji Ki Mahima Aprampar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyauhar Hai,
Charnon Mein Natmastak Sansar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyaunhar Hai ॥
Jinke Ur Mein Sarpo Ki Mala Hai,
Bhasm Ramaye Baitha Damru Wala Hai,
Jinke Ur Mein Sarpo Ki Mala Hai,
Bhasm Ramaye Baitha Damru Wala Hai,
Sir Par Jinke Ganga Ki Dhaar Hai,
Duniya Unki Karti Jai Jaikar Hai,
Shiv Ji Ki Mahima Aprampar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyaunhar Hai ॥
Bhang Dhatura Bel Patra Le Aaye Hai,
Ganga Jal Mein Akshat Phool Sajaye Hai,
Bhang Dhatura Bel Patra Le Aaye Hai,
Ganga Jal Mein Akshat Phool Sajaye Hai,
Honthon Pe Bhare Bas Omkar Hai,
Shivji Ke Mantro Ka Gunjar Hai,
Shiv Ji Ki Mahima Aprampar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyaunhar Hai ॥
Ichchha Jan Jan Ki Ye Poori Karte Hai,
Jholi Hardam Bhakton Ki Ye Bharte Hai,
Ichchha Jan Jan Ki Ye Poori Karte Hai,
Jholi Hardam Bhakton Ki Ye Bharte Hai,
Darshan Karne Se Hi Uddhaar Hai,
Gajab Inka Shringar Hai,
Shiv Ji Ki Mahima Aprampar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyaunhar Hai ॥
Shiv Ji Ki Mahima Aprampar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyauhar Hai,
Charnon Mein Natmastak Sansar Hai,
Aaya Shivratri Ka Tyaunhar Hai ॥