Shiv Shankar Tumhari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai,
Sari Srishti Isliye Tumhe,
Ganga Dhari Shiv Kahati Hai,
Shiv Shankar Tumari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥
Bhagirath Ne Awhan Kiya,
Ganga Ko Dhara Pe Lana Hai,
Apne Purkho Ko Gangajal,
Se Bhav Se Paar Lagana Hai,
Ganga Ka Beg Prabal Hai Bahut,
Man Mein Shanka Ye Rahati Hai,
Shiv Shankar Tumari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥
Bhagirath Ne Tap Ghor Kiya,
Tum Hoke Prasann Dayal Hue,
Ganga Ka Beg Jatao Mein,
Tum Dharne Ko Taiyar Huye,
Vishnu Charnon Nikli Ganga,
Shiv Jata Mein Jake Thaharati Hai,
Shiv Shankar Tumari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥
Shiv Jata Se Phir Nikli Ganga,
Nirmal Dhara Ban Bahane Lagi,
Bhagirath Ke Pichhe Pichhe,
Ganga Maan Dekho Chalne Lagi,
Phir Bhagirath Ke Purkho Ka,
Kalyan Maan Ganga Karati Hai,
Shiv Shankar Tumari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥
Shiv Shankar Tumhari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai,
Sari Srishti Isliye Tumhe,
Ganga Dhari Shiv Kahati Hai,
Shiv Shankar Tumari Jatao Se,
Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥