Sawan Suhana Aaya Hai, Sawan,
Sadiyon Maa Ka Laya Hai, Sawan ॥
Sawan Hai Suhana Suhana Suhana,
Darshan Maa Ka Pana Hai Pana Hai Pana ॥
Sawan Suhana Aaya Hai, Sawan,
Sadiyon Maa Ka Laya Hai, Sawan,
Chint Purni Ke Dvar Gunjati,
Jay Jaykar,
Chint Purni Ke Dvar Gunjati,
Jay Jaykar,
Bhakto Ka Maan Bhaya Hai Sawan,
Sawan Suhana Aya Hai,
Sandesa Maa Ka Laya Hai ॥
Cham Cham Barsaye Barish,
Sawan Albela,
Maa Ke Bhawan Pe Laga,
Bhakto Ka Mela,
Laal Dyaj Udaye,
Jhumte Gate Aaye,
Dukhde Mitane Aaya Hai, Sawan,
Sawan Suhana Aya Hai, Sawan,
Sandesa Maa Ka Laya Hai, Sawan ॥
Jhule Pade Hai Har,
Aam Ki Dali,
Kanya Ka Roop Dhare,
Maa Sherawali,
Sakhiyon Ko Sang Mein Le,
Bagia Mein Jhula Jhule,
Jhula Jhulne Aya Hai, Swan,
Sawan Suhana Aya Hai, Sawan,
Sandesa Maa Ka Laya Hai, Sawan ॥
Sawan Mein Karale ‘Saral’,
Maan Ko Pawan,
‘Lakhkha’ Ke Sang Jake,
Karle Maa Ka Darshan,
Paap Dhul Jaye Sare,
Kavale Samajho Ye Saare,
Kismat Chamakane Aaya Hai, Sawan,
Sawan Suhana Aya Hai, Sawan,
Sandesa Maa Ka Laya Hai, Sawan ॥
Sawan Hai Suhana Suhana Suhana,
Darshan Maa Ka Pana Hai Pana Hai Pana ॥
Sawan Suhana Aaya Hai, Sawan,
Sadiyon Maa Ka Laya Hai, Sawan,
Chint Purni Ke Dvar Gunjati,
Jay Jaykar,
Chint Purni Ke Dvar Gunjati,
Jay Jaykar,
Bhakto Ka Maan Bhaya Hai Sawan,
Sawan Suhana Aya Hai,
Sandesa Maa Ka Laya Hai ॥