Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Hare Sab Duhkh Bhakton Ke,
Dayakar Ho to Aisa Ho ॥
Shikhar Kailash Ke Upar,
Kalpataruon Ki Chhaya Mein ।
Rame Nit Sang Girija Ke,
Ramandhar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Sheesh Par Gang Ki Dhara,
Suhae Bhal Par Lochan ।
Kala Mastak Pe Chanda Ki,
Manohar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho .
Bhayankar Jahar Jab Nikla,
Khirsagar Ke Manthan Se ।
Rakha Sab Kanth Mein Pikar,
Ki Vishdhar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho .
Siron Ko Kaatkar Apne,
Kiya Jab Hom Ravan Ne ।
Diya Sab Raaj Duniyan Ka,
Dilavar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Banae Beech Sagar Ke,
Teen Pur Daitya Sena Ne ।
Udae Ek Hi Shar Se,
Tripurhar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Devgan Daitya Nar Sare,
Japen Nit Naam Shankar Jo,
Vo Brahmanand Duniyan Mein,
Ujagar Ho to Aisa Ho ॥
Sadashiv Sarva Vardata,
Digamber Ho to Aisa Ho ।
Hare Sab Duhkh Bhakton Ke,
Dayakar Ho to Aisa Ho ॥