Ram Kahane Se Tar Jaega,
Paar Bhav Se Uttar Jayega।
Us Gali Hogi Charcha Teri,
Jis Gali Se Gujar Jayega।
॥ Ram Kahane Se Tar Jaega...॥
Badi Mushkil Se Nar Tan Mila,
Kal Naa Jane Kidhar Jaega।
॥ Ram Kahane Se Tar Jaega...॥
Apana Daman To Phaila Zara,
Koi Data Bhar Jaega।
॥ Ram Kahane Se Tar Jaega...॥
Sab Kahenge Kahani Teri,
Jab Idhar Se Udhar Jaega।
॥ Ram Kahane Se Tar Jaega...॥
Yaad Aaegi Chetan Teri,
Kam Aisa Jo Kar Jaega।
॥ Ram Kahane Se Tar Jaega...॥
Ram Kahane Se Tar Jaega,
Paar Bhav Se Uttar Jayega।
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future

* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!