Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke,
Hoga Sherawali Ka Didar,
Jaykare Gunje Maiya Ke,
Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke ॥
Maa Ka Bhawan Sajaya,
Phulon Kaliyon Se Mehkaya,
Hua Angana Pabitar,
Maa Ne Karam Kamaya,
Jyot Maiya Ki Jaga Ke,
Sabne Mirdang Bajake,
Sab Bhakto Ne Gake,
Khub Rang Barsaya,
Sapne Huye Sakar,
Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke ॥
Roop Kanjako Ka Dhaar,
Aati Ghar Ghar Maata,
Khole Maan Ki Jo Ankhen,
Wo Hi darshan Paya,
Sacche Bhav Se Jo Koi,
Puri Halwa Khilata,
Sare Jag Ki Vidhata,
Karti Hai Beda Paar,
Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke ॥
Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke,
Hoga Sherawali Ka Didar,
Jaykare Gunje Maiya Ke,
Navratro Ki Aayi Hai Bahar,
Jaykare Gunje Maiya Ke ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!