Prem Prabhu Ka Baras Raha Hai
Pee Le Amrit Pyase
Saaton Tirath Tere Andar
Baahar Kise Talaase
Kann Kann Mein Hari
Kshan Kshan Mein Hari
Muskanon Mein Ansuvan Mein Hari
Mann Ki Aankhein Toone Kholi
Toh Hi Darshan Paayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Niyati Bhed Nahi Karti
Jo Leti Hai Woh Deti Hai
Jo Boyega Woh Kaatega
Yeh Jag Karmon Ki Kheti Hai
Niyati Bhed Nahi Karti
Jo Leti Hai Woh Deti Hai
Jo Boyega Woh Kaatega
Yeh Jag Karmon Ki Kheti Hai
Yadi Karm Tere Paawan Hai Sabhi
Doobegi Nahi Teri Naav Kabhi
Teri Baanh Pakadne Ko
Woh Bhes Badal Ke Aayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Neki Vyarth Nahi Jaati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hain
Auron Ko Phool Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mehakte Hain
Neki Vyarth Nahi Jaati
Hari Lekha Jokha Rakhte Hain
Auron Ko Phool Diye Jisne
Uske Bhi Hath Mehakte Hain
Koyi Deep Mile Toh Baati Bann
Tu Bhi Toh Kisi Ka Saathi Bann
Mann Ko Mansarovar Karle
Toh Hi Moti Payega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Kaan Lagake Baatein Sunle
Sookhe Hue Darakhton Ki
Leta Hai Bhagwan Pariksha
Sabse Pyare Bhakton Ki
Ek Prashn Hai Gehra Jiski
Hari Ko Thaah Lagani Hai
Teri Shradha Sona Hai
Ya Bas Sone Ka Paani Hai
Jo Phool Dhare Har Daali Par
Vishwas Toh Rakh Us Maali Par
Tere Bhaag Mein Pathar Hai Toh
Pathar Bhi Khil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Main Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega
Pata Nahi Kis Roop Mein Aa Kar
Narayan Mil Jayega