Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
Sharan Jo Meri Aakar Ke,
Bharosa Mujh Par Jo karta,
Bhagat Jo Hai Mera Hota,
Meri najron Main Wo Rahta,
Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
Agar Tuphan Aata Hai,
Naav Hichakole Khati Hai,
Naav Dube Bhala Kaise,
Chunad Meri Lehrati Hai,
Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
Rakhti Hun Dhyan Main Itna,
Bhagat To Sota Rehta Hai,
Bhagat Kuch Bhi Nahi Karta,
Kaam Sab Hota Rehta Hai,
Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
Yah Ichchha Hai ‘Banavari’,
Yahi Darwar Main Bethu,
Bhagat Ki Naav Main Bethu,
Bhagat Ke Saath Main Bethu,
Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
Naiya Chalati Hun,
Main Bigadi Banati Hun,
Apne Bhakto ka Main,
Beda Paar Lagati Hun,
Naiya Chalati Hun ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future

* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!