Na Jane Kaun Se Gun Par,
Dayanidhi Reejh Jate Hain ।
Yahi Sad Granth Kahte Hain,
Yahi Hari Bhakt Gate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Nahin Swikar Karte Hain,
Nimantran Nrup Suyodhan Ka ।
Vidur Ke Ghar Pahunchkar Bhog,
Chhilkon Ka Lagate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Na Aaye Madhupuri Se Gopiyon Ki,
Du:kh Vyatha Sunakar ।
Drupdaja Ki Dasha Par,
Dwarka Se Daude Aate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Na Roye Ban Gaman Mein,
Shri Pita Ki Vednaon Par ।
Utha Kar Geedh Ko Nij God Mein ,
Aansu Bahate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Kathinta Se Charan Dhokar,
Mile Kuchh Bindu Vidhi Har Ko ।
Vo Charanodak Swayam Kevat Ke,
Ghar Jakar Lutate Hain ॥
॥ Ki Na Jane Kaun Se Gun Par.. ॥
Na Jane Kaun Se Gun Par,
Dayanidhi Reejh Jate Hain ।
Yahi Sad Granth Kahate Hain,
Yahi Hari Bhakt Gate Hain ॥