Na Main Jaun Mathura Kashi,
Meri Ichha Na Jarasa,
Mohe Chhah Nahi,
Ab Kisi Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki ॥
Kashton Ne Ghera Mujhe,
Mila Na Sahara,
Haath Badhaya Tune,
Kashton Se Tara,
Tere Siva Duniya Mein,
Koi Na Hamara,
Mujh Pe Sada Hi Rahe,
Haath Tumhara,
Ab Koi Ye Bataye,
Hum Chahe To Kya Chahhe,
Hame Chah Nahi,
Ab Kisi Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki ॥
Kuch Nahi Mangu Main Ab,
Kisi Aur Dhaam Se,
Sab Kuchh Mila Hai Mujhe,
Baba Tere Naam Se,
Darata Nahin Main Ab,
Kisi Anjaam Se,
Mujhako Pata Hai Ab,
Jiyunga Aaraam Se,
Rahun Charonon Ke Paas,
Sada Yahi Ardash,
Mohe Sudh Hi Na Rahe,
Ab Subhah Shaam Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki ॥
Phagun Ka Mela Aaya,
Maan Nahin Mana,
Haath Mein Nishaan Leke,
Chal Pada Dewana,
Chang Nagada Baje,
Nachu Main Dhamal Mein,
Bhakton Ke Sang Naachu,
Gaun Jhumun Taal Mein,
Mera Baba Hai Kamaal,
Khus Rakhta Hai Apne Laala,
Holi Khelenge Hum,
Baba Tere Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki ॥
Na Main Jaun Mathura Kashi,
Meri Ichha Na Jarasa,
Mohe Chhah Nahi,
Ab Kisi Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki,
Mohe To Lagan,
Mere Khatu Dham Ki ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!