Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar,
Kaliyug Main Har Prani Ke,
Kaliyug Main Har Prani Ke,
Paapo Ka Karo Udhar,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥
Har Ek Prani Parlok Saware,
Tere Charan Mein Apne Paap Utare,
Har Ek Prani Parlok Saware,
Tere Charan Mein Apne Paap Utare,
Karunamae Tu sabko Paapo,
Ka Karti Sanhar,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥
Dhyanu Bhagt Maa Tera Gun Gaya,
Tune Prem Apana Saare Bhakto Pe Lutaya,
Dhyanu Bhagt Maa Tera Gun Gaya,
Sridhar Sevak Ko Tune Gale Se Lagaya,
Dhanya Hai Teri Kripa Maiya,
Dhanya Hai Teri Kripa Maiya,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥
Unche Pahada Baithi Vaishno Bhawani,
Kathin Chadhae Chadke Aae Kalyani,
Unche Pahada Baithi Vaishno Bhawani,
Kathin Chadhae Chadke Aae Kalyani,
Tere Darshan Matra Se Maiya,
Sukh Paye Sansar,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥
Gyan Jaga Do Ab To Ham Sabaka Maa,
Kayam Rakh Sake Bhakta Ki Garima,
Gyan Jaga Do Ab To Ham Sabaka Maa,
Kayam Rakh Sake Bhakta Ki Garima,
‘Devendr’ ‘Kailash’ Ki Maa Hai,
Hrudaya Se Ye Pukara,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar,
Kaliyug Main Har Prani Ke,
Kaliyug Main Har Prani Ke,
Paapo Ka Karo Udhar,
Meri Vaishno Maiya,
Teri Mahima Aprampar ॥