Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale,
Daya Drusthi Karte Sab Par,
Mehendipur Wale Hai,
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥
Roop Rang Hai Laal Laal Hai,
Kahi Tu Kala Kala,
Mehendipur Mein Saj Ke Betha,
Maa Anjani Ka Laala,
Ram Naam Ki Japte Rehte,
Hardam Kanthi Mala,
Darshan Matra Se Khul Jata Hai,
Band Kismat Ka Taala,
Lakho Ki Sankhya Mein,
Ane Jane Wale Hai,
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥
Bal Ki Koi Nahin Hai Sima,
Aise Hai Baladhari,
Bhut Pret Sab Thar Thar Kampe,
Dekh Gada Bas Bhari,
Jinaki Chokhat Pe Aate,
Jaate Hai Sab Nar Nari,
Sankat Mochan Sankat Harate,
Jaane Duniya Sari,
Sone Ki Lanka Ko Swayan,
Jalaane Vale Hai,
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥
Balaji Sang Pritraj,
Bhairav Ka Darshan Paye,
Laddu Chawal Udad Se,
Tino Dev Ko Bhog Lagaye,
Sradha Suman Chadha Ke,
Apna Maan Banchhit Phal Paye,
Jisake Charanon Mein Dhar ‘Dheeraj’,
Apana Sheesh Jhukaen,
‘Anjali’ Ke Swar Mein,
Sab Ke Sab Gaane Wale Hai,
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale,
Daya Drusthi Karte Sab Par,
Mehendipur Wale Hai,
Mere Balaji Sarkar,
Ke To Rang Nirale ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
![Add To Favorites Add To Favorites](https://www.bhaktibharat.com/theme/images/fav-icon.png)
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!