Mera Chhota Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar,
Hari Aa Jao, Hari Aa Jao,
Meri Naiya Paar Laga Jao,
Meri Bigdi Aa Ke Bana Jao,
Mera Chhonta Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar ॥
Lakho Ko Darash Dikhaya Hai,
Prabhu Mujhko Kyon Tarsaya Hai,
Ye Kaisi Tumhari Maya Hai,
Nit Bahati Hai Asuvan Dhaar,
Nit Bahati Hai Asuvan Dhaar,
Hari Aa Jao Ek Baar,
Mera Chhonta Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar ॥
Jab Yaad Tumhari Aati Hai,
Tan Man Ki Sudh Bisrati Hai,
Rah Rah Ke Mujhe Tadpati Hai,
Tan Man Dhan Doon Sab Vaar,
Tan Man Dhan Doon Sab Vaar,
Hari Aa Jao Ek Baar,
Mera Chhonta Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar ॥
Mujhko Bichhde Yug Beet Gaye,
Kyon Rooth Prabhu Mere Meet Gaye,
Main Haar Gaya Tum Jeet Gaye,
Ab Darshan Do Sakaar,
Ab Darshan Do Sakaar,
Hari Aa Jao Ek Baar,
Mera Chhonta Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar ॥
Mera Chhota Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar,
Hari Aa Jao, Hari Aa Jao,
Meri Naiya Paar Laga Jao,
Meri Bigdi Aa Ke Bana Jao,
Mera Chhonta Sa Sansar,
Hari Aa Jao Ek Baar ॥