Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai,
Tere Bina Is Jag Mein,
Koi Na Hamara Hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
Unche Unche Parvat Pe,
Maiya Tera Thikana Hai,
Darshan Ko Maiya Ji,
Aaye Sara Jamana Hai,
Maiya Tere Darshan Se,
Mit Jaye Dukh Sara hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
Dwar Meri Maiya Ka,
Sare Jag Se Nirala Hai,
Dukhiyara Jo Bhi Ho,
Use Pal Mein Sambhala Hai,
Maiya Teri Kirpa Se,
Mere Chalta Gujara Hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
Matlab ke Log Yaha,
Sab Matlab Ke Riste Hain,
Sukh Ke Sab Saathi,
Muskil Mein Na Dikhte Hai,
Is Jhuthi Duniya Mein,
Saccha Pyar Tumhara Hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
Jab Koi Bipda Padi,
Maiya Ek Pal Mein Aae Hai,
‘Shibu’ Aur ‘Toni’ Ki,
Tune Bigdi Banae Hai,
Ab To Tere Bina,
Hume Kuch Na Gawara Hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai,
Tere Bina Is Jag Mein,
Koi Na Hamara Hai,
Maiya Tere Bhakto Ko,
Tera Hi Sahara Hai ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!