Main Us Darbar Ka Sevak Hoon,
Jis Dar Ki Amar Kahani Hai,
Main Garv Se Jag Mein Kahata Hoon,
Mera Malik Sheesh Ka Dani Hai,
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon ॥
Inke Darbar Ke Naukar Bhi,
Duniya Mein Seth Kahate Hai,
Jinko Hai Mili Seva Inki,
Vo Kismat Pe Itraate Hai,
Jo Shyam Ki Seva Roj Kare,
Vo Raat Divas Phir Mauj Kare,
Jin Pe Hai Inayat Baba Ki,
Khud Khushiyaan Unki Khoj Kare ।
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon,
Jis Dar Ki Amar Kahani Hai,
Main Garv Se Jag Mein Kahata Hoon,
Mera Malik Sheesh Ka Dani Hai,
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon ॥
Jab Bhi Koi Chitkar Kare,
To Inka Sinhasan Hilta Hai,
Ye Rok Nahi Pata Khud Ko,
Jhat Ja Kar Usse Milta Hai,
Jo Shyam Prabhu Se Aas Kare,
Baba Na Unko Nirash Kare,
Unhen Khud Ye Raah Dikhata Hai,
Jo Aankh Moond Vishwas Kare ।
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon,
Jis Dar Ki Amar Kahani Hai,
Main Garv Se Jag Mein Kahata Hoon,
Mera Malik Sheesh Ka Dani Hai,
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon ॥
Jisne Bhi Shyam Ki Chaukhat Par,
Aa Kar Ke Matha Teka Hai,
Us Ne Mud Karke Jeevan Mein,
Wapas Na Phir Kabhi Dekha Hai,
‘madhav’ Jab Shyam Sahara Hai,
To Jeevan Mein Paubara Hai,
Jo Haar Gaya Ek Baar Yahan,
Vo Hara Nahi Dobara Hai ।
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon,
Jis Dar Ki Amar Kahani Hai,
Main Garv Se Jag Mein Kahata Hoon,
Mera Malik Sheesh Ka Dani Hai,
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon ॥
Main Us Darbar Ka Sevak Hoon,
Jis Dar Ki Amar Kahani Hai,
Main Garv Se Jag Mein Kahata Hoon,
Mera Malik Sheesh Ka Dani Hai,
Mai Us Darbar Ka Sevak Hoon ॥