Main Pardesi Hun Pahli Bar Aaya Hun,
Darshan Karne Maiya Ke Darbar Aaya Hun ।
Ai Lal Chunariya Wali Beti
Ye to Batao Maa Ke Bhawan Jane Ka Rasta
Kidhar Se Hai Idhar Se Hai Ya Udhar Se
Sun Re Bhakt Pardesi,
Itni Jaldi Hai Kaisi
Are Jara Ghum Lo Phir,
Lo Raunak Dekho Katra Ki
Jao Tum Wahan Jao,
Pahale Parchi Katao
Dhyan Maiya Ka Dharo,
Ik Jaikara Lagao
Chale Bhakton Ki Toli,
Sang Tum Mil Jao,
Tumhe Rasta Dikha Doon,
Mere Pichhe Chale Aao
Ye Hai Darshni Dayodhi,
Darshan Pahla Hai Ye
Karo Yatra Shuru to,
Jay Mata Di Kah
Yahan Talak to Layi Beti,
Aage Bhi Le Jao Na
॥ Main Pardesi Hun… ॥
Itna Sheetal Jal,
Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Ye Hai Banganga,
Pani Amrit Saman,
Hota Tan Man Pawan,
Karo Yahan Re Snaan
Matha Mandir Mein Teko,
Karo Aage Prasthan,
Charan Paduka Vo Aai,
Jane Mahima Jahan
Maiya Jag Kalyani,
Maaf Karna Meri Bhool,
Mainne Mathe Pe Lagai,
Teri Charnon Ki Dhool
Yahan Talak to Layi Beti,
Aage Bhi Le Jao Na
॥ Main Pardesi Hun… ॥
Ye Ham Kaha Aa Pahunche,
Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Ye Hai Aadi Kuwari,
Mahima Hai Iski Bhari
Garbhjoon Vo Gupha Hai,
Katha Hai Jiski Nyari
Bhairon Jati Ik Jogi,
Maas Madira Aahari,
Lene Maa Ki Pariksha,
Baat Usne Vichari
Maas Aur Madhu Mange,
Mati Uski Thi Mari
Hui Antardhyan Mata,
Aaya Peechhe Durachari
Nau Maheene Isi Me Rahi,
Maiya Avtari
Ise Gupha Garbhjoon Jane,
Duniya Ye Sari
Aur Gupha Se Nikalkar Mata Vaishno Rani,
Upar Pawan Gupha Mein Pindi Roop Me Prakat Hui
Dhany Dhany Meri Mata,
Dhany Teri Shakti
Milti Paapon Se Mukti,
Karke Teri Bhakti
Yahan Talak to Layi Beti,
Aage Bhi Le Jao Na
॥ Main Pardesi Hun… ॥
Oh Meri Maiya !
Itni Kathin Chadhai,
Ye Kaun Sa Sthan Hai Beti?
Dekho Unche Vo Pahad,
Aur Gahari Ye Khai
Jara Chadhna Sambhal Ke,
Hathi Matthe Ki Chadhai
Tedhe Medhe Raste Hai,
Par Darna Na Bhai
Dekho Samne Vo Dekho,
Sanjhi Chhat Ki Dikhai
Pardesi Yahan Kuchh Kha Lo Pi,
Thoda Aaram Kar Lo,
Lo Bas Thodi Yatra Aur Baki Hai
Aisa Lagta Hai,
Mujhko Mukam Aa Gaya
Mata Vaishno Ka,
Nikat Hi Dham Aa Gaya
Yahan Talak to Layi Beti,
Aage Bhi Le Jao Na
॥ Main Pardesi Hun… ॥
Wah Kya Sundar Nazara,
Aakhir Ham Maa Ke Bhawan Pahunch Hi Gaye Na
Ye Pawan Gupha Kidhar Hai Beti?
Dekho Samane Gupha Hai,
Maiya Rani Ka Duara
Mata Vaishno Ne Yahan,
Roop Pindiyon Ka Dhara
Chalo Ganga Mein Naha Lo,
Thali Pooja Ki Saja Lo
Leke Laal Laal Chunri,
Apne Sar Pe Bandhwa Lo
Jake Sinduri Gupha Mein,
Maa Ke Darshan Pa Lo
Bin Mange Hi Yahan Se,
Mann Ichchha Phal Pa Lo
Gupha Se Bahar Aakar, Kanjke Bithate Hain, Unko Halwa Poori Aur, Dakshina Dekar Aashirwad Paten Hai,
Aur Lautte Samay Baba Bhairo Nath Ke Darshan Karne Se Yatra Sampoorn Mani Jati Hai
Aaj Tumne Saral Pe,
Upkar Kar Diya
Daman Khushiyon Se,
Aanand Se Bhar Diya
Bhej Bulava Agle Baras Bhi,
Pardesi Ko Bulao Maa
Har Saal Aaunga,
Jaise Is Baar Aaya Hun
॥ Main Pardesi Hun… ॥
Main Pardesi Hun Pahli Bar Aaya Hun,
Darshan Karne Maiya Ke Darbar Aaya Hun ।