Main Dhundhta Tujhe Tha, Jab Kunj Aur Van Mein ।
Tu Khojta Mujhe Tha, Tab Deen Ke Sadan Mein ॥
Tu Aah Ban Kisi Ki, Mujhko Pukarta Tha ।
Main Tha Tujhe Bulata, Sangeet Mein Bhajan Mein ॥
Mere Lie Khada Tha, Dukhiyon Ke Dwar Par Tu ।
Main Baat Johata Tha, Teri Kisi Chaman Mein ॥
Bankar Kisi Ke Aansoo, Mere Lie Baha Tu ।
Ankhe Lagi Thi Meri, Tab Maan Aur Dhan Mein ॥
Baje Bajabaja Kar, Main Tha Tujhe Rijhata ।
Tab Tu Laga Hua Tha, Patiton Ke Sangathan Mein ॥
Main Tha Virakt Tujhse, Jag Ki Anityata Par ।
Utthan Bhar Raha Tha, Tab Tu Kisi Patan Mein ॥
Bebas Gire Huon Ke, Tu Beech Mein Khada Tha ।
Main Swarg Dekhta Tha, Jhukta Kahan Charan Mein ॥
Tune Diya Anekon Avsar Na Mil Saka Main ।
Tu Karm Mein Magan Tha, Main Vyast Tha Kathan Mein ॥
Tera Pata Sikandar Ko, Main Samajh Raha Tha ।
Par Tu Basa Hua Tha, Pharhad Kohkan Mein ॥
Krisas Ki Haay Mein Tha, Karta Vinod Tu Hi ।
Tu Ant Mein Hansa Tha, Mahmud Ke Rudan Mein ॥
Prahalad Janta Tha, Tera Sahi Thikana ।
Tu Hi Machal Raha Tha, Mansoor Ki Ratan Mein ॥
Akhir Chamak Pada Tu Gandhi Ki Haddiyon Mein ।
Main Tha Tujhe Samajhta, Suharab Peele Tan Mein ॥
Kaise Tujhe Milunga, Jab Bhed Is Kadar Hai ।
Hairan Hoke Bhagwan, Aaya Hoon Main Saran Mein ॥
Tu Roop Kai Kiran Mein Saundary Hai Suman Mein ।
Tu Pran Hai Pavan Mein, Vistar Hai Gagan Mein ॥
Tu Gyan Hinduon Mein, Imaan Muslimon Mein ।
Tu Prem Krishchiyan Mein, Tu Satya Hai Sujan Mein ॥
Hey Dinbandhu Aisi, Pratibha Pradan Kar Tu ।
Dekhoon Tujhe Drgon Mein, Man Mein Tatha Vachan Mein ॥
Kathinaiyon Dukhon Ka, Itihas Hi Suyash Hai ।
Mujhko Samarth Kar Tu, Bas Kasht Ke Sahan Mein ॥
Dukh Mein Na Haar Manoon, Sukh Mein Tujhe Na Bhulun ।
Aisa Prabhav Bhar De, Mere Adhir Man Mein ॥
- Ramnaresh Tripathi