Mahima Teri Samajh Saka Na,
Koi Bhole Shankar,
Kabhi Toh Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar,
Kabhi Toh Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar ॥
Bhakton Ke Man Ko Bhaati Hai,
Bhole Chhavi Tumhari,
Maathe Chanda Jata Mein Ganga,
Aur Nandi Ki Sawari,
Bayen Ang Mein Gaura Mata,
Baithi Aasan Laakar,
Kabhi Toh Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar ॥
Aur Roop Bhayankar Roop Tumhara,
Jab Tandav Ho Karte,
Sur Nar Muni Aur Devta Bhi Hai,
Aise Roop Se Darte,
Pralaykari Roop Dikhe Jab,
Kholo Teesra Netr,
Kabhi to Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar ॥
Hai Vinti Meri Ye Bhole,
Kirpa Mujh Pe Karna,
Tere Charnon Mein Rahkar,
Hai Tera Naam Sumiran,
‘Oj Suresh’ Khada Hai Dekho,
Donon Hath Jodkar,
Kabhi to Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar ॥
Mahima Teri Samajh Saka Na,
Koi Bhole Shankar,
Kabhi to Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar,
Kabhi Toh Bhole Bhandari Ho,
Kabhi to Roop Bhayankar ॥
श्री शिव पंचाक्षर स्तोत्र |
शिव चालीसा |
आरती: श्री शिव, शंकर, भोलेनाथ