Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥
Shlok – Paas Ki Sunti Hai,
Dur Ki Sunti Hai,
Gumnaan Ke Sang Sang,
Mashur Ki Sunti Hai,
Maa To Akhir Maa Hai,
Maa Ke Bhakto,
Maa To Har,
Majbur Ki Sunti hai ॥
Maa Ki Har Baat Nirali Hai,
Baat Nirali Hai,
Ki Har Karamat Nirali Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai,
Mahadati Se Sab Ko Mili,
Sogat Nirala Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥
Wakt Ki Chal Badle,
Dukh Ki Janjal Badle,
Isko Charnon Main Jhuka Kar,
Bade Kangal Badle,
Jaha Jo Aye Sawali,
Kabhi Wo Jaye Na Khali,
Yah Lati Patjhad Main Bhi,
Har Chaman Se Hariyali,
Kali Rato Main Lati,
Prabhab Nirali Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥
Daya Jab Iski Hoti,
To Kankar Bante Moti,
Jise Yah Aap Jagado,
Na Phir Kismat Wo Siti,
Gamo Se Ghirne Wale,
Bade Is Maa Ne Sambhale,
Phase Majdhar Main Bede,
Isi Ne Bahar Nikale,
Iski Mithi Mamta Ki,
Barsat Nirali Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥
Dukh Katati Hai Ye,
Sukh Banti Hai Ye,
Hame Palti Hai Ye Din Raat Hi,
Jadu Iska Ajib,
Dekho Hoke Karib,
Ye To Badle Nasib Din Raat Hi,
Is Ki Hi Rehmat,
Har Nirdosh Ke Saath Nirali Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥
Maa Ki Har Baat Nirali Hai,
Baat Nirali Hai,
Ki Har Karamat Nirali Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai,
Mahadati Se Sab Ko Mili,
Sogat Nirala Hai,
Maa Ki Har Baat Nirali Hai ॥