Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Hal Vo Sawal Karen,
Sabko Nihal Karen ।
Bante Re Sachcha Pyar Maa,
Chhoti Chhoti Kanyaen ॥
Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Mukh Mandal Ka Tej Nyara,
Kahte Hain Vo Roop Tumhara ।
Pyaari Pyaari Bholi Bhali,
Baatein Karti Bahut Nirali ।
Badi Dayawan Hai Vo,
Deti Vardan Hai Vo ।
Bede Lagati Paar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanjakaain ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanjakaain ॥
Jo Jan Unka Karen Anadar,
Dukh Se Bhatke Vo to Dar Dar ।
Charan Chhuenge Jo Bhi Man Se,
Sukhi Rahenge Sukh Ke Dhan Se ।
Mithi Mithi Baton Se,
Pyaari Karamaton Se ।
Deti Hai Kaary Sanwar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Has Ke Wah Thapki Jisko Deti,
Sare Sankat Har Vo Leti ।
Teri Tarah Hi Se Mahamaya,
Koi Na Jaane Unki Maya ।
Naam Ke Diwanon Ke,
Jogi Mastano Ke ।
Sapne Karen Sakaar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
Dekhi Tere Darbar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ।
Leela Karen Apar Maa,
Chhoti-chhoti Kanyaen ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!