Kis Liye Aas Chhode Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ।
Nath Kab Tak Rahenge Kade Ek Din,
Dekhkar Prem Ansoo Pighal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Sabri Kevat Jatayu Ahilyaji Ke,
Paas Pahunche Swayam Chhodkar Ke Avadh ।
Ye Hain Ghatnayen Sach to Bharosa Hamen,
Khud-ba-khud Aap Akar Ke Mil Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Darsh Dene Ko Raghuvar Ji Ayenge Jab,
Hum Na Manenge Apni Chalaye Bina ।
Jane Denge Na Vapis Kisi Shart Par,
Bas Kamal Pad Pakadkar Machal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Phir Sunayenge Khoti-khari Aapko,
Aur Puchhenge Deri Lagai Kahan?
Phir Nivedan Karenge Na Chhodo Hamen,
Prabhu Ki Joothan Prasadi Pe Pal Jayenge ॥
॥ Kis Liye Aans Chhoden.. ॥
Swapn Sakar Hoga Tabhi Ram Ji,
"Jan" Pe Ho Jaye Thodi Kripa Apki ।
Poorn Kar Do Manorath Yah "Rajesh" Ka,
Jane Kab Pran Tan Se Nikal Jayenge ॥
Kisliye Aas Chhoden, Kabhi Na Kabhi,
Kshan Virah Ke Milan Mein Badal Jayenge ॥