Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin,
Hanuman Tumhara Kya Kahana ।
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ॥
Sita Ki Khoj Kari Tumne,
Tum Saat Samundar Paar Gaye ।
Lanka Ko Kiya Shamshaan Prabhu,
Balwan Tumhara Kya Kahana ॥
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ।
॥ Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin… ॥
Jab Lakhan Laal Ko Shakti Lagi,
Tum Dronagiri Parvat Laye ।
Lakshman Ke Bachaye Aa Kar Ke,
Tab Pran Tumhara Kya Kahana ॥
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ।
॥ Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin… ॥
Tum Bhakt Shiromani Ho Jag Mein,
Tum Veer Shiromani Ho Jag Mein ।
Tere Rom Rom Mein Baste Hain Siya Ram,
Tumhara Kya Kahana ॥
Kalyug Mein Sidh Ho Dev Tumhin,
Hanuman Tumhara Kya Kahana ।
Teri Shakti Ka Kya Kahana,
Teri Bhakti Ka Kya Kahana ॥
हनुमान चालीसा |
श्री हनुमान आरती |
संकटमोचन अष्टक |
बालाजी आरती |
श्री राम स्तुति
◉ श्री हनुमंत लाल की पूजा आराधना में
हनुमान चालीसा,
बजरंग बाण और
संकटमोचन अष्टक का पाठ बहुत ही प्रमुख माने जाते हैं।