Kaam Koi Aisa Na Jag Mein,
Jo Karte Hanuman Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
Suraj Mukh Mein Rakhne Wale,
Prem Ka Bhog Lagate Hai,
Sagar Laghan Wale Pal Mein,
Naiya Paar Lagate Hai,
Inka Rasta Rok Sake Jo,
Asa Koi Chattan Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
Lakhan Ke Prano Ke Data,
Bhakta Ki Raskhya Karte Hai,
Bhoot Pisach Nikat Nahi Aave,
Vo hanuman Se Darte Hai,
Le Parvat Haton Mein Ude Jo,
Asa Koi Balwan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
Tera samarpan Dekh Ke Hanuman,
Waha Pakad Le Jayenge,
Tere Maan Mein Bhakti Bhar Ke,
Ram Ka Darshan Karayenge,
"Pankaj" Jisne Naam Japa Hai,
Vo Khota Pahchan Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥
BhaktiBharat Lyrics
Kaam Kaoi Asa Na Jag Mein,
Jo Karte Hanuman Nahi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi,
Phir Bhi Ram Ke Das Kahaye,
Hrudaya Mein Abhimaan Nhi ॥