Jo Khel Gaye Prano Pe, Shri Ram Ke Liye,
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Sagar Ko Laang Ke Isne,
Sita Ka Pata Lagaya,
Prabhu Ram Naam Ka Danka,
Lanka Mein Jake Bajaya ,
Mata Anjani Ki Aisi,
Santan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥
Lakshman Ko Bachane Ki Jab,
Sari Aashaye Tuti,
Ye Pawan Beg Se Jaakar,
Laye Sanjeevan Booti,
Parvat Ko Uthane Wale,
Balwan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥
Vibhishan Jab Inki Bhakti Par,
Jab Prashn Aaj Uthaya
To Cheer Ke Seena Apna,
Shri Ram Ka Darash Karaya
In Param Bhakt Hanuman,
Mata Anjani Ke Santan Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥
Salaasar Mein Bhakto Ki,
Ye Puri Kare Murade,
Mehandipur Ye Sonu.
Dukhiyo Ke Dukhare Kaate,
Duniya Se Nirale Iske,
Donon Dhaam Ke Liye ।
॥ Ek Baar to Hath Uthalo… ॥
Jo Khel Gaye Prano Pe,
Shri Ram Ke Liye,
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
Ek Baar to Hath Uthalo,
Mere Hanuman Ke Liye ।
◉ The recitation of
Hanuman Chalisa,
Bajrang Baan and
Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future

* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!