Jisne Bhi Maa Ki Chaukhat Pe,
Sar Ko Jhuka Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
Kaila Karoli Vali Maa,
Mamta Ki Khan Hai,
Mamta Ki Khan Hai,
Maiya Ke Dar Pe Jhuk Raha,
Sara Jahan Hai,
Sara Jahan Hai,
Jisne Bhi Jholi Phelae,
Usne Hi Pa Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
Nau Niddh Asht Siddh Ki,
Data Dayali Hai,
Data Dayali Hai,
Ye Hi Hai Durga Chamunda,
Ye Hi Kali Hai,
Ye Hi Kali Hai,
Rota Gaya Jo Dwar Par,
Usko Hansa Diya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
Kalayug Mein Kaila Maiya Ka,
Danka Hai Charo Aur,
Danka Hai Charo Aur,
Charanon Ka Ban Ja ‘Bavara’,
Hogi Krupa Ki Kaur,
Hogi krupa Ki Kaur,
‘Chokhani’ Ne Bhi Bhajano Se,
Maa Ko Rijha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
Jisne Bhi Maa Ki Chaukhat Pe,
Sar Ko Jhuka Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya,
Karke Daya Bhabani Ne,
Bahon Mein Utha Liya ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!