Jara Itna Bata De Kanha,
Ki Tera Rang Kala Kyon ।
Shlok- Shyam Ka Kala Badan,
Aur Shyam Ghata Se Kala,
Shaam Hote Hi,
Gajab Kar Gaya Murli Wala ॥
Jara Itna Bata De Kanha,
Ki Tera Rang Kala Kyon,
Tu Kala Hokar Bhi Jag Se,
Itna Nirala Kyon ॥
Mainne Kali Raat Mein Janm Liya,
Aur Kali Gaay Ka Doodh Peeya,
Kajre Ka Rang Bhi Kala,
Kamli Ka Rang Bhi Kala,
Isi Liye Mai Kala ॥
Sakhi Roz Hi Ghar Mein Bulati Hai,
Aur Makhan Bahut Khilati Hai,
Sakhion Ka Dil Bhi Kala,
Isi Liye Mai Kala ॥
Mainne Kale Nag Par Nach Kiya,
Aur Kale Nag Ko Nath Liya,
Nagon Ka Rang Bhi Kala,
Yamuna Ka Rang Bhi Kala,
Isi Liye Mai Kala ॥
Sawan Mein Bijli Kadakti Hai,
Badal Bhi Bahut Barasaten Hai,
Badal Ka Rang Bhi Kala,
Bijli Ka Rang Bhi Kala,
Isee Lie Mai Kala ॥
Sakhi Nainon Mein Kajra Lagati Hai,
Aur Nainon Mein Mujhe Bithati Hai,
Kajre Ka Rang Bhi Kala,
Nainon Ka Rang Bhi Kala,
Isi Liye Mai Kala ॥
Jara Itna Bata Den Kanha,
Ki Tera Rang Kala Kyon,
Tu Kala Hokar Bhi Jag Se,
Itna Nirala Kyon ॥