Himmat Na Harie,
Prabhu Na Bisarie ।
Hanste Muskurate Huye,
Zindagi Gujarie ॥
Kam Aise Kijiye Ki,
Jinse Ho Sab Ka Bhala ।
Baten Aise Kijiye,
Jinmein Ho Amrit Bhara ।
Mithi Boli Bol Sabko,
Prem Se Pukarie ।
Kadve Bol Bolke Na,
Zindagi Bigadie ॥
Achchhe Karm Karte Huye,
Duhkh Bhi Agar Pa Rahe ।
Pichhle Pap Karmon Ka,
Bhugtan Vo Bhugta Rahe ।
Sadguru Ki Bhakti Karke,
Pap Ko Mitaie ।
Galtiyon Se Bachte Huye,
Sadhna Badhaie ॥
Himmat Na Harie,
Prabhu Na Bisarie ।
Hanste Muskurate Huye,
Zindagi Gujarie ॥
Hriday Ki Kitab Par,
Ye Bat Likh Lijie ।
Banake Sachche Bhakt Sachche,
Dil Se Amal Kijiye ।
Karake Amal Banke Kamal,
Tarie Aur Taarie ।
Jag Mein Jagmagati Hui,
Zindagi Gujarie ॥
Himmat Na Harie,
Prabhu Na Bisarie ।
Hanste Muskurate Huye,
Zindagi Gujarie ॥
Mushkilon Musibaton Ka,
Karna Hai Jo Khatma ।
Har Samay Kahana Tera,
Shukr Hai Paramatma ।
Phariyaden Karke Apna,
Hal Na Bigadie ।
Jaise Prabhu Rakhen Vaise,
Zindagi Gujarie ॥
Himmat Na Harie,
Prabhu Na Bisarie ।
Hanste Muskurate Huye,
Zindagi Gujarie ॥
If you love this bhajan please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!