Hamen Nij Dharm Par Chalna,
Sikhati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥
Jinhe Sansar Sagar Se,
Utar Kar Paar Jana Hai,
Unhe Sukh Ke Kinare Par,
Lagati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥
Kahi Chhavi Vishnu Ki Baanki,
Kahi Shankar Ki Hai Jhanki,
Hriday Anand Jhoole Par,
Jhulati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥
Kabhi Vedon Ke Sagar Me,
Kabhi Geeta Ki Ganga Me,
Kabhi Ras Bindu Ke Jal Me,
Dubaati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥
Saral Kavita Ke Kunjo Mein,
Bana Mandir Hai Hindi Ka,
Jahaan Prabhu Prem Ka Darshan,
Karaati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥
Hamen Nij Dharm Par Chalna,
Sikhati Roj Ramayan,
Sada Shubh Aachran Karna,
Sikhati Roj Ramayan ॥