॥ Shlok ॥
Gajanand Anand Karo,
Do Sukh Sampati Mein Shish,
Dushman Ko Sajjan Karo,
Nivat Jimava Kheer ।
Sada Bhavani Dahini,
Sanmukh Rahat Ganesh,
Panch Dev Raksha Kare,
Bramha Vishnu Mahesh ।
Vighn Haran Mangal Karan,
Gananayak Ganaraj,
Riddhi Siddhi Sahit Padharajo,
Mhaara Puran Kar Jo Kaj ॥
॥ Bhajan ॥
Gauri Ke Nanda Gajanan,
Gauri Ke Nanda,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
Pita Tumhare Hai Shiv Shankar,
Mastak Par Chanda,
Mata Tumhari Parvati,
Dhyave Jagat Banda,
Mhara Vighn Haro Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
Musak Vahan Dund Dundala,
Pharasa Hath Lenada,
Gal Vaijanti Maal Viraje,
Chadhe Pushp Gandha,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
Jo Nar Tumko Nahin Sumrata,
Uska Bhagya Manda,
Jo Nar Thari Kare Sevana,
Chale Rijak Dhandha,
Mhaara Vighn Haro Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
Vighn Haran Mangal Karan,
Vidya Var Denada,
Kahata Kalloo Ram Bhajan Se,
Kate Paap Phanda,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥
Gauri Ke Nanda Gajanan,
Gauri Ke Nanda ,
Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan,
Gauri Ke Nanda ॥