Faag* Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Gher Lai Sab Gali Rangili,
Chhay Rahi Chhabi Chhata Chhabili,
Jin Dhol Mrdang Bajaye Hain,
Bansi Ki Ghanghor ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Jur Mil Ke Sab Sakhiyan Aai,
Umad Ghata Ambar Mein Chhai,
Jin Abir Gulal Udaye Hain,
Marat Bhar Bhar Jhor ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Le Rahe Chot Gwal Dhalan Pe,
Kesar Kich Male Galan Pe,
Jin Hariyal Baans Mangaye Hain,
Chalan Lage Chahun or ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Bhi Abir Ghor Andhiyari,
Deekhat Nahi Kou Nar Aur Nari,
Jin Radhe Sen Chalaye Hain,
Pakde Makhan Chor ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Jo Lala Ghar Jano Chaho,
To Hori Ko Faguva Lao,
Jin Shyam Sakha Bulaye Hain,
Bantat Bhar Bhar Jhor ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Radhe Ju Ke Ha Ha Khao,
Sab Sakhiyan Ke Ghar Pahunchao,
Jin Ghasiram Pad Gae Hain,
Lagi Shyam Sang Dor ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
Faag Khelan Barasane Aaye Hain,
Natwar Nand Kishore ।
* Faag: Hindi Falgun Maah