Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Maine Laxmi Ko Dekha,
Maine Indrani Dekhi,
Tino Loko Mein Jakar,
Rani Maharani Dekhi,
Ek Se BadhKar Ek Sabhi Ne,
Abhusan Pahane,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Baat Sunkar Gaura Ki,
Bhole Ne Ye Samjhaya,
Ek Aghod Dani Ko,
Paas Na Hoti Maya,
Jo Jese Rahte Hai Unko,
Wese Do Rahne,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Chutaki Bhar Bhasmi Di Aur,
Bole Kuber Ko Jana,
Waha Se Isko Jitna,
Tol Ke Sona Lana,
Chutki Bhar Mein Kya Ho,
Gaura Soch Rahi Maan Mein,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Ek Palade Par Sona,
Ek Par Bhasmi Dali,
Sona Rakh Dala Sara,
Padala Bhasmi Ka Bhari,
Hua Khajan Khali,
Kuch Na Paas Bacha Dharne,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Dekh Bhasmi Ki Maya,
Khuli Gaura Ki Ankhen,
Mathe Pe Bhasm Lagae,
Boli Bhole Se Jake,
Kyun Jaun Auro Ke Khajana,
Bhara Mere Ghar Mein,
Tumse Hi Hai Srungar Mera,
Tum Hi Ho Mere Gahane ॥
Bhasm Ki mahima Bhari,
Rame Bhole Ke Ang Mein,
Lagalo Iska Tika,
Rahenge Bhole Sang Mein,
‘Sonu’ Bhole Svayan Base Hai,
Iske Kan Kan Mein,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥
Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami,
Sone Ke Gahane ॥