Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Ponchh Le Tu Apne Aansoo Tamam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ॥
Sach Ka Hai Path Le Dharm Ka Marg,
Sambhal Sambhal Chalna Prani ।
Pag Pag Par Hai Yahan Re Kasauti,
Kadam Kadam Par Kurbani ।
Magar Tu Dava Dol Na Hona,
Teri Sab Peer Harenge Ram ॥
Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Main Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kya Tune Paya, Kya Tune Khoya,
Kya Tera Labh Hai Kya Hani ।
Is Ka Hisab Karega Vo Ishwar,
Kyun Tu Phikar Kare Re Prani ।
Tu Bas Apna Kaam Kie Ja,
Tera Bhandar Bharenge Ram ॥
Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Doosron Ka Dukhda Door Karne Wale,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Kiye Ja Tu Jag Mein Bhalai Ka Kaam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ।
Ponchh Le Tu Apne Aansoo Tamam,
Tere Duhkh Door Karenge Ram ॥