Damru Wale Bhole Bhale ॥
Doha - Mahakal Tum Kashi Bale,
shiv bhole bhandari,
Teen Lok Charanan Mein Jhukate,
He Nilakanth Tripurari ॥
Damru Wale Bhole Bhale,
Devo Mein Tum Dev Nirale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥
Mathe Pe Chanda Sohe Hai,
Gale Sarp Mala Mohe Hai,
Tan Pe Bhabhuti Ramaye Hai,
Dam Dam Damaru Bajae Hai,
Jholi Sabaki Bharane Vale,
Par Sabhi Ko Karane Wale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥
Asuron Ko Varadan Diye,
Vish Ye Halahal Aap Piye,
Ravan Ko Lanka Dinhi,
Bramha Ko Sab Ved Diye,
Bhakton Ke Tum Ho Rakhawale,
Leela Ajab Ho Aachane Wale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥
Ganag Jal Jo Chadhaye Hai,
Muh Manga Phal Paye Hai,
Shiv Ki Pindi Par Jisne,
Chandan Tikal Lagaya Hai,
Uske Kaam Kabhi Na Tale,
Un Bhakton Ko Aap Sambhale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥
Tan Pe Bhabhuti Ramaye Hai,
Mrgachhala Lipatae Hai,
Ek Haath Main Trishul Saje,
Duje Damaru Bajaye Hai,
Yogi Roop Mein Rahanye Wale,
Kand Mul Phal Khane Wale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥
Damru Wale Bhole Bhale,
Devo Mein Tum Dev Nirale,
Ganga Dharan Karne Wale,
Shiv Bhole Jai Shiv Bhole,
Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥