Liya Naam Jisne Bhi Shivji Ka Man Se,
Use Bhole Shankar Ne Apna Banaya ।
Khule Us Pe Sab Dwar Shiv Ki Daya Ke,
Jo Shraddha Se Bhole Ke Mandir Mein Aaya ॥
Har Har Har Mahadev Ki Jay Ho ।
Shankar Shiv Kailashpati Ki Jay Ho ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto,
Shiv Ji Ke Charnon Mein Sar Ko Jhukae ।
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan..2
Japen Naam Shiv Ka Bhajan Inake Gayen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Har Har Har Mahadev Ki Jay Ho ।..4
Yah Sansar Jhoothi Maya Ka Bandhan,
Shivalaymen Marg Hai Mukti Ka Bhakto ।
Mahadev Ka Naam Lene Se Har Din,
Milega Hamen Daan Shakti Ka Bhakto ।
Mitti Mein Mitti Ki Kaya Milegi..2
Chalo Atma Ko to Kundan Banaen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto ॥
Kahin Bhi Nahin Ant Us Ki Daya Ka,
Karen Vandna Us Dayalu Pita Ki ।
Hamen Bhi Mile Chhavan Uski Kripa Ki,
Hame Bhi Mile Bhikh Uski Daya Ki ।
Lagakar Samadhi Karen Shiv Ka Simran..2
Yun Soye Hue Bhagy Apne Jagayen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto ॥
Karen Sab Ka Kalyan, Kalyanakari,
Bhare Sabke Bhandar Trinetra Dhari ।
Koi Usko Jag Mein Kami Na Rahegi,
Banega Jo Tanman Se Shiv Ka Pujari ।
Kare Naam Lekar Saphal Apna Jeevan..2
Yah Anmol Jeevan Yuhin Na Gavaye ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Shiv Ji Ke Charanon Mein Sar Ko Jhukaye ।
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan..2
Japen Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gayen ॥
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto
Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।..4