Bin Paani Ke Naav Khe Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Bhookhen Uthate Hai Bhookhe to Sote Nahin,
Duhkh Aata Hai Humpe to Rote Nahin,
Din Raat Khabar Le Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Uske Lakhon Deewane Bade Se Bade,
Uske Charnon Mein Kankar Ke Jaise Pade,
Phir Bhi Awaz Meri Sun Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Mera Chhota Sa Ghar Mahlon Ki Rani Maan,
Meri Aukat Kya Maharani Hai Maan,
Saath ‘banwari’ Maan Rah Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Jyada Kahta Magar Kah Nahin Pa Raha,
Aansu Bahata Magar Bah Nahin Pa Raha,
Dil Se Awaz Ye Aa Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
Bin Paani Ke Naav Khe Rahi Hai,
Maan Naseeb Se Jyada De Rahi Hai ॥
दुर्गा चालीसा |
आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी |
आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली |
महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् |
माता के भजन