Shri Hanuman Janmotsav, Mangalvar Vrat, Shanivar Pooja, Budhe Mangalavar, Sundarkand, Ramcharitmanas Katha Aur Akhand Ramayan Ke Path Mein Pramukhta Se Gaye Jane Wala Bhajan ।
Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।
Kya Bhor Hote Hote Bajrang Aa Sakenge,
Lakshman Ko Naya Jeevan Phir Se Dila Sakenge ।
Kahi Saas Ki Ye Dori Kamajor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥
Kaise Kahunga Ja Ke Mara Gaya Hai Lakshman,
Taj Degi Pran Sun Ke Mata Sumitra Fauran ।
Kaheen Yah Kalank Mujhse Ik Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥
Lakshman Bina Hai Tuta Yah Danya Hath Mera,
Kuchh Soojhta Nahin Hai Charo Taraph Andhera ।
Lanka Mein Kahin Ghar Ghar Ye Shor Ho Na Jaye Re
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥
Warna Atal Hai ‘sharma’ Meri Baat Na Talegi,
Lakshman Ke Sath Meri ‘lakhkha’ Chita Jalegi ।
Main Sochta to Kuch Hoon, Kuch Aur Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ॥ Bajrang Ke Aate Aate… ॥
Bajrang Ke Aate Aate Kahi Bhor Ho Na Jaye Re,
Ye Ram Sochte Hain, Shri Ram Sochte Hain ।
Singer: Swarlakhabir Singh Lakkha