Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj saare Hai,
sampurn Ramayan Sakshi Hai,
Pag Pag Pe Sankat Taare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Narayan Ram Avatar Liye,
Prathvi Ka Paap Mitane Ko,
Shiv Rudra Roop Dhare Hanuman,
Shree Ram Ko Path Darsane Ko.
Sevak Ka Sthan Liye Hanuman,
Narayan Sang Padhare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Shiv Bhakta The Kailash Nandan,
Hanumat Unke Aradhak The,
Lankapati Ravan Mahavali,
Kailashpati Ka Sadhak Tha,
Abhiman Roopi Us Danav Ko,
Shree Ram Sahit Sanghare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Vanar ka Roop Dhara Kapi Ne,
Rajaon Sa Srungar Liya,
Jab Bhi Danav Shakti Ubhari,
Bal Kaushal Se Sanghar Kiya,
Shree Ram Ke Naino Ki Jyoti,
Raghuvar Ke Praan Piyaare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Isako Vidhana Ka Lekh Kahun,
Ya Ishwar Ki Leela Maanu,
Hai Ram Ka Naam Bada Jag Mein,
Main To Keval Itana Jaanu,
Isalie Hi To Kapiraj Sada,
Shree Ram Hi Ram Uchaare Hai,
Sampurna Ramayan Sakhi Hai,
Pag Pag Mein Sankat Tare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj saare Hai,
sampurn Ramayan Sakshi Hai,
Pag Pag Pe Sankat Taare Hai,
Anjanisut Kesari Nandan Ne,
Shree Ram Ke Karaj Saare Hai ॥