Jai Hanumat Baba,
Jai Jai Hanumat Baba ।
Ramdut Balvanta,
Ramdut Balvanta,
Sab Jan Man Bhava ।
Jai Jai Hanumat Baba ।Anjani Garbh Sambhuta,
Pavan Vegdhari,
Baba Pavan Vegdhari ।
Lankini Garv Nihanta,
Lankini Garv Nihanta,
Anupam Baldhari ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Balapan Mein Baba Acharaj Bahu Kinhon,
Baba Acharaj Bahu Kinhon ।
Ravi Ko Mukh Mein Dharayo,
Ravi Ko Mukh Mein Dharayo,
Rahu Traas Dinhon ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Sita Ki Sudhi Laye,
Lanka Dahan Kiyo,
Baba Lanka Dahan Kiyo ।
Bag Ashok Ujari,
Bag Ashok Ujari,
Akshay Maar Diyo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Dron So Giri Uparayo,
Lakhan Ko Pran Diyo,
Baba Lakhan Ko Pran Diyo ।
Ahiravan Sanhara,
Ahiravan Sanhara,
Sab Jan Taar Diyo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Sankat Haran Kripamay,
Dayamay Sukhkari,
Baba Dayamay Sukhkari ।
Sarv Sukhan Ke Daata,
Sarv Sukhan Ke Daata,
Jai Jai Kehari Hari ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Sab Dwaron Se Lauta Teri Sharan Parayo,
Baba Teri Sharan Parayo ।
Sankat Mera Mitao,
Sankat Mera Mitao,
Vighn Sakal Harayo ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Bhakti Bhav Se Baba, Man Mera Sikt Rahe,
Baba Man Mera Sikt Rahe ।
Ek Ho Sharan Tihari,
Ek Ho Sharan Tihari,
Vishayan Mein Na Chit Rahe ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Jai Hanumat Baba,
Jai Jai Hanumat Baba ।
Ramdut Balvanta,
Ramdut Balvanta,
Sab Jan Man Bhava ।
Jai Jai Hanumat Baba ।
Doha
Pavan Tanay Sankat Haran,
Mangal Murati Roop ।
Ram Lakhan Sita Sahit,
Hriday Basehun Sur Bhoop ॥
* Yah Aarti Pratah Kal Nahin Ki Jani Chahiye ।
* Yah Aarti Shri Trimurtidham, Balaji Hanuman Mandir Kalka, Jila Panchakula, Hariyana Me Gai Jane Wali Aarti Hai ।
◉ The recitation of
Hanuman Chalisa,
Bajrang Baan and
Sankatmochan Hanuman Ashtak are considered very prominent in the worship of Shri Hanumant Lal.
If you love this aarti please
like,
share or
comment!
Follow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this aarti for future
* Please share any of your suggestions or ideas with us.
** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!