Baglamukhi Chalia (बगलामुखी चालीसा)


॥ Doha ॥
Sir Navai Baglamukhi,
Likhun Chalisa Aaj ॥
Kripa Karahu Mopar Sada,
Pooran Ho Mam Kaaj ॥

॥ Chaupai ॥
Jai Jai Jai Shri Bagla Mata ।
Adishakti Sab Jag Ki Trata ॥

Bagla Sam Tab Aanan Mata ।
Ehi Te Bhayu Naam Vikhyata ॥

Shashi Lalat Kundal Chhavi Nyari ।
Asauti Karahin Dev Nar-nari ॥

Pitvasan Tan Par Tav Rajai ।
Hathhin Mudgar Gada Virajai ॥ 4 ॥

Tin Nayan Gal Champak Mala ।
Amit Tej Prakatat Hai Bhala ॥

Ratn-jatit Sinhasan Sohai ।
Shobha Nirakhi Sakal Jan Mohai ॥

Asan Pitavarn Maharani ।
Bhaktan Ki Tum Ho Varadani ॥

Pitabhushan Pitahin Chandan ।
Sur Nar Nag Karat Sab Vandan ॥ 8 ॥

Ehi Vidhi Dhyan Hrday Mein Rakhai ।
Ved Puran Sant as Bhakhai ॥

Ab Pooja Vidhi Karan Prakasha ।
Jake Kiye Hot Dukh-nasha ॥

Prathamahin Pit Dhvaja Phaharavai ।
Pitavasan Devi Pahiravai ॥

Kumkum Akshat Modak Besan ।
Abir Gulal Supari Chandan ॥ 12 ॥

Maly Haridra Aru Phal Pana ।
Sabahin Chadhi Dharye Ur Dhyana ॥

Dhoop Dip Karpoor Ki Bati ।
Prem-sahit Tab Karai Arati ॥

Astuti Karai Hath Dou Jore ।
Puravahu Matu Manorath More ॥

Matu Bhagati Tab Sab Sukh Khani ।
Karhun KrIpa Mopar Janjani ॥ 16 ॥

Trividh Taap Sab Dukh Nashavahu ।
Timir Mitkar Gyan Badhavahu ॥

Bar-bar Main Binavahun Tohin ।
Aviral Bhagati Gyan Do Mohin ॥

Poojanant Mein Havan Karavai ।
Sa Nar Manavanchhit Phal Pavai ॥

Sarshap Hom Karai Jo Koi ।
Take Vash Sacharachar Hoi ॥ 20 ॥

Til Tandul Sang Kshir Miravai ।
Bhakti Prem Se Havan Karavai ॥

Dukh Daridr Vyapai Nahin Soi ।
Nishchay Sukh-sampatti Sab Hoi ॥

Phool Ashok Havan Jo Kari ।
Taake Grh Sukh-sampatti Bhari ॥

Phal Semar Ka Hom Karijai ।
Nishchay Vako Ripu Sab Chhijai ॥ 24 ॥

Guggul Ghrt Homai Jo Koi ।
Tehi Ke Vash Mein Raja Hoi ॥

Guggul Til Sang Hom Karavai ।
Tako Sakal Bandh Kat Javai ॥

Bilakshar Ka Path Jo Karahin ।
Bij Mantr Tumharo Uchcharahin ॥

Ek Maas Nishi Jo Kar Jaapa ।
Tehi Kar Mitat Sakal Santapa ॥ 28 ॥

Ghar Ki Shuddh Bhoomi Jahan Hoi ।
Sadhka Jaap Karai Tahan Soi ॥

Sei Ichchhit Phal Nishchay Pavai ।
Yamai Nahin Kadu Sanshay Lavai ॥

Athava Tir Nadi Ke Jai ।
Sadhak Jaap Karai Man Lai ॥

Das Sahasra Jap Karai Jo Koi ।
Sak Kaaj Tehi Kar Sidhi Hoi ॥ 32 ॥

Jaap Karai Jo Lakshahin Baara ।
Takar Hoy Suyashavistara ॥

Jo Tav Naam Japai Man Lai ।
Alpakal Mahan Ripuhin Nasai ॥

Saptaratri Jo Papahin Nama ।
Vako Pooran Ho Sab Kama .

Nav Din Jaap Kare Jo Koi ।
Vyadhi Rahit Takar Tan Hoi ॥ 36 ॥

Dhyan Karai Jo Bandhya Nari ।
Pavai Putradik Phal Chari ॥

Pratah Sayan Aru Madhyana ।
Dhare Dhyan Hovaikalyana ॥

Kahan Lagi Mahima Kahaun Tihari ।
Naam Sada Shubh Mangalkari ॥

Path Karai Jo Nitya Chalisa ।
Tehi Par Kripa Karhin Gaurisha ॥ 40 ॥

॥ Doha ॥
Santasharan Ko Tanay Hoon,
Kulapati Mishr Sunam ।
Haridvar Mandal Basoon ,
Dham Haripur Gram ॥

Unnis Sau Pichanabe San Ki,
Shravan Shukla Maas ।
Chalisa Rachana Kiyau,
Tav Charanan Ko Daas ॥
बगलामुखी चालीसा - हिन्दी में पढ़ें
सिर नवाइ बगलामुखी, लिखूं चालीसा आज॥ जय जय जय श्री बगला माता । आदिशक्ति सब जग की त्राता ॥
Chalisa Baglamukhi ChalisaMaa Baglamukhi ChalisaGupt Navratri ChalisaNavratri ChalisaDurga Puja ChalisaBaglamukhi Jayanti ChalisaPitambara Chalisa

Other Popular Baglamukhi Chalia Video

Baglamukhi Chalisa Maha Super Fast

If you love this chalisa please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Chalisa

Shiv Chalisa, has great importance in a person's life. Bhagwan Shiva can be easily appeased by the simple words of Shiv Chalisa.

Surya Chalisa

Jai Savita Jai Jayati Diwakar, Sahasranshu Saptashwa Timihar ॥ Bhanu Patang Marichi Bhaskar!...

Hanuman Chalisa

Shri Hanuman Chalisa Lyrics | Jai Hanuman gyan gun sagar । Jai Kapis tihun lok ujagar ॥ Ram doot atulit bal dhama | Hanuman Chalisa Lyrics in Hindi And English

Shani Chalisa

Jai Ganesh Girija Suwan, Mangal Karan Krapal। Deenan Ke Dhuk Dhoor Kari, Kheejain Nath Nihal..

Durga Chalisa

Shri Durga Chalisa used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratri...