॥ Doha ॥
Jaikali Kalimalharan,
Mahima Agam Apaar ।
Mahish Mardini Kalika,
Dehu Abhay Apaar ॥
॥ Chaupai ॥
Ari Mad Maan Mitavan Haari ।
Mundamaal Gal Sohat Pyari ॥
Ashtabhuji Sukhadayak Mata ।
Dushtadalan Jag Mein Vikhyata ॥
Bhaal Vishal Mukut Chhavi Chhajai ।
Kar Mein Shish Shatru Ka Sajai ॥
Dooje Hath Lie Madhu Pyala ।
Haath Tisre Sohat Bhala ॥ 4 ॥
Chauthe Khappar Khadg Kar Panche ।
Chhathe Trishool Shatru Bal Janche ॥
Saptam Karadamakat Asi Pyaari ।
Shobha Adbhut Maat Tumhari ॥
Ashtam Kar Bhaktan Var Data ।
Jag Manharan Roop Ye Mata ॥
Bhaktan Mein Anurakt Bhavani ।
Nishadin Raten Rishi-muni Gyani ॥ 8 ॥
Mahashakti Ati Prabal Punita ।
Tu Hi Kali Tu Hi Sita ॥
Patit Tarini He Jag Palak ।
Kalyani Papi Kul Ghalak ॥
Shesh Suresh Na Pavat Paara ।
Gauri Roop Dharyo Ik Baara ॥
Tum Saman Data Nahin Dooja ।
Vidhivat Karen Bhaktajan Pooja ॥ 12 ॥
Roop Bhayankar Jab Tum Dhara ।
Dushtdalan Kinhehu Sanhara ॥
Naam Anekan Maat Tumhare ।
Bhaktajanon Ke Sankat Taare ॥
Kali Ke Kasht Kaleshan Harani ।
Bhav Bhaya Mochan Mangal Karani ॥
Mahima Agam Ved Yash Gavain ।
Narad Sharad Paar Na Pavain ॥ 16 ॥
Bhoo Par Bhaar Badhyau Jab Bhari ।
Tab Tab Tum Prakatin Mahatari ॥
Aadi Anadi Abhay Vardata ।
Vishwavidit Bhav Sankat Trata ॥
Kusamay Naam Tumhaarau Linha ।
Usako Sada Abhay Var Dinha ॥
Dhyan Dharen Shruti Shesh Suresha ।
Kaal Roop Lakhi Tumaro Bhesha ॥ 20 ॥
Kalua Bhainron Sang Tumhare ।
Ari Hit Roop Bhayanak Dhaare ॥
Sevak Laangur Rahat Agaari ।
Chausath Jogan Aagyakari ॥
Treta Mein Raghuvar Hit Aai ।
Dashakandhar Ki Sain Nasai ॥
Khela Ran Ka Khel Nirala ।
Bhara Maans-majja Se Pyala ॥ 24 ॥
Raudra Roop Lakhi Daanav Bhaage ।
Kiyau Gavan Bhavan Nij Tyage ॥
Tab Aisau Taamas Chadh Aayo .
Swajan Vijan Ko Bhed Bhulayo ॥
Ye Balak Lakhi Shankar Aaye ।
Raah Rok Charanan Mein Dhaye ॥
Tab Mukh Jeebh Nikar Jo Aai ।
Yahi Roop Prachalit Hai Mai ॥ 28 ॥
Badhyo Mahishasur Mad Bhari ।
Pidit Kiye Sakal Nar-nari ॥
Karoon Pukar Suni Bhaktan Ki ।
Pir Mitavan Hit Jan-jan Ki ॥ 15 ॥
Tab Pragati Nij Sain Sameta ।
Naam Pada Maan Mahish Vijeta ॥
Shumbh Nishumbh Hane Chhan Maahin ।
Tum Sam Jag Doosar Kou Naahin ॥ 32 ॥
Maan Mathanhari Khal Dal Ke ।
Sada Sahayak Bhakt Vikal Ke ॥
Deen Vihin Karain Nit Seva ।
Pavain Manvanchhit Phal Meva ॥ 17 ॥
Sankat Mein Jo Sumiran Karahin ।
Unke Kasht Maatu Tum Harahin ॥
Prem Sahit Jo Kirati Gavain ।
Bhav Bandhan Son Mukti Pavain ॥ 36 ॥
Kali Chalisa Jo Padhahin ।
Swargalok Binu Bandhan Chadhahin ॥
Daya Drshti Herau Jagdamba ।
Kehi Karan Maan Kiyau Vilamba ॥
Karahu Maatu Bhaktan Rakhavali ।
Jayati Jayati Kali Kankali ॥
Sevak Din Anath Anari ।
Bhaktibhav Yuti Sharan Tumhari ॥ 40 ॥
॥ Doha ॥
Prem Sahit Jo Kare,
Kali Chalisa Path ।
Tinki Puran Kamna,
Hoy Sakal Jag Thath ॥