Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega
Maut Jab Tujhako Aavaaj Degee,
Ghar Se Baahar Nikalana Padega ॥
Maut Ka Baja Jis Din Danka
Phoonk Dee Tab Pal Mein Sone Ki Lanka
Kar Gayi Maut Raavan Ka Banka
Vaise Tujhko Bhi Jalna Padega ॥
Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega ॥
Raat Ke Baad Hoga Savera
Dekhna Ho Agar Din Sunahra
Paanv Phoolon Pe Rakhne Se Pehle
Tujhko Kaanton Pe Chalnaa Padegaa ॥
Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega ॥
Ye Jawani Hai Do Din Ka Sapna,
Dhoondh Le Tu Jald Ram Apna
Ye Jawani Agar Dhal Gayi to,
Umar Bhar Haath Malna Padega ॥
Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega ॥
Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega
Maut Jab Tujhako Aavaaj Degee,
Ghar Se Baahar Nikalana Padega ॥
Ye Tasawur Ye Josho-jawani
Chand Lamhon Ki Hai Yah Kahani
Ye Diya Shaam Tak Dekh Lena
Chadhate Suraj Ko Dhalna Padega ॥
Zingadi Ek Kiraye Ka Ghar Hai,
Ek Na Ek Din Badalana Padega ॥