Yahi Hai Rrarthana Prabhuvar Jeevan Ye Nirala Ho (यही है प्रार्थना प्रभुवर)


Yahi Hai Prarthana Prabhuvar! Jeevan Ye Nirala Ho ।
Paropkari, Sadachari Va Lambi Aayu Vala Ho ॥
Saralta, Sheelta, Shuchita Hon Bhooshan Mere Jeevan Ke ।
Sachai, Saadgi, Shraddha Ko Man Saanche Mein Dhala Ho ॥
॥ Yahi Hai Prarthana Prabhuvar… ॥

Mera Vedokt Ho Jeevan, Banoon Main Dharm-anuragi ।
Rahoon Aagya Mein Vedon Ki, Na Hukmeved Taala Ho ॥
॥ Yahi Hai Prarthana Prabhuvar… ॥

Teri Bhakti Mein He Bhagwan, Laga Doon Apna Main Tan-man ।
Dikhave Ke Liye Hathon Mein Thaili Ho, Na Mala Ho ॥
॥ Yahi Hai Prarthana Prabhuvar… ॥

Tajoon Sab Khote Karmon Ko, Tajoon Durvasnaon Ko ।
Tere Vigyan Deepak Ka Mere Man Mein Ujala Ho ॥
॥ Yahi Hai Prarthana Prabhuvar… ॥

Pila De Moksh Ki Ghutti, Maran-jeevan Se Ho Chhutti ।
Vinay Antim Ye Sevak Ki Agar Manjoore Vala Ho ॥

Yahi Hai Prarthana Prabhuvar! Jeevan Ye Nirala Ho ।
Paropakari, Sadachari Va Lambi Aayuvalo Ho ॥
यही है प्रार्थना प्रभुवर - हिन्दी में पढ़ें
यही है प्रार्थना प्रभुवर! जीवन ये निराला हो। परोपकारी, सदाचारी व लम्बी आयुवालो हो॥
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Vasa Hai Bhagto Ke Dil Me Naam Bhole Nath Ka

Shiv Apnon Se Naam Suna Hai Tere Dhaam Ka, Vasa Hai Bhagto Ke Dil Mein Naam Bhole Naath Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Laagi Tum Sang Yaari Mere Banke Bihari

Laagi Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari, Banke Bihari, Mere Kunj Bihari, Laagin Tum Sang Yaari, Mere Banke Bihari ॥

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

JaiKara Mere Kedareshwaray Jai Kara

Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara, Jaykara Bolo Jaykara, Mere Kedareswaray Tera Jaykara ॥