Bhajan: Yahi Aasha Lekar Aati Hu (यही आशा लेकर आती हूँ - भजन)


Radha Priyam Saras Sundar Prem Dhamam,
Gopi Priyam Madan Jeet Nainabhi Ramam,
Yogi Priyam Tav Navodit Bal Chandram,
Sarva Priyam Sakal Mangal Mul Shamam

Yahi Asha Lekar Ati Hun,
Har Bar Tumhare Mandir Mein,
Kabhi Neh Ki Hogi Mujhpar Bhi,
Bauchhar Tumhare Mandir Mein,

Hey Radheshwargopi Vallabh Tum,
Tribhuvan Ke Akarshan Ho,
Pat to Har Din Khulte Lekin,
Jab Bhagy Khule Tab Darshan Ho,

Hota Hai Tumhara Nit Nutan,
Shringar Tumhare Mandir Mein,
Kabhi Neh Ki Hogi Mujh Par Bhi,
Bauchhar Tumhare Mandir Mein
Bauchhar Tumhare Mandir Mein ..

Hey Muralidhar Krishn-kanhai,
Radha Ras Bihari
Darshan Bhikhsha Mang Rahe Hai,
Naina Darsh Bhikhari

Radha Bhi Nahi, Meera Bhi Nahi,
Main Lalita Hun Na Vishakha Hun,
Hey Brjaraj Tumhare Brjatru Ki,
Main Komal Si Ik Shakha Hun,
Itna Hi Mila Ane Ka,
Adhikar Tumhare Mandir Mein,
Kabhi Neh Ki Hogi Mujh Par Bhi,
Bauchhar Tumhare Mandir Mein

Radha Priyam Saras Sundar Prem Dhamam,
Gopi Priyam Madan Jeet Naina Bhi Ramam,

Yogi Priyam Tav Navodit Bal Chandram,
Sarva Priyam Saphal Mangal Mul Shamam

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
यही आशा लेकर आती हूँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
यही आशा लेकर आती हूँ हर बार तुम्हारे मंदिर में, कभी नेह की होगी मुझपर भी बौछार तुम्हारे मंदिर में...
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKavita Krishnamurti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko

Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalte Hue Tan Ko Mil Jaaye Taruvar Ki Chhaya...

Bharosa Kar Tu Ishwar Par

Bharosa Kar Tu Ishwar Par, Tujhe Rona Nahi Hoga । Yah Jeevan Beet Jayega, Tujhe Rona Nahi Hoga ॥ Kabhi Sukh Hai Kabhi Dukh Hai...

Bhajan: Jyot Se Jyot Jagate Chalo

Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Jyot Se Jyot Jagate Chalo, Prem Ki Ganga Bahate Chalo, Prem Ki Ganga Baha...

Tu Pyar Ka Sagar Hai

Tu Pyar Ka Sagar Hai, Teri Ek Bund Ke Pyase Ham। Lauta Jo Diya Tune..

Tora Man Darpan Kahlaye

Tora Man Darpan Kahlaye, Bhale, Bure, Saare Karmon Ko, Dekhe Aur Dikhaye...