Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥
Jis Ang Ki Shobha Suhaavni Hai,
Jis Shyamal Rang Mein Mohani Hai,
Us Roop Sudha Se Snehiyon Ke,
Drg Pyaale Bharegen Kabhi Na Kabhi ॥
Jahaan Giddh Nishaad Ka Aadar Hai,
Jahaan Vyaadh Ajaamil Ka Ghar Hai,
Wahi Bhesh Banake Usi Ghar Mein,
Ham Ja Thaharegen Kabhi Na Kabhi ॥
Karunanidhi Naam Sunaya Jinhen,
Karnamrit Paan Karaya Jinhen,
Sarkaar Adaalat Mein Ye Gavaah,
Sabhi Gujaregen Kabhi Na Kabhi ॥
Ham Dwar Mein Aapke Aake Pade,
Muddat Se Isi Hai Jid Par Ade,
Bhav-sindhu Tare Jo Bade Se Bade,
To Ye ‘Bindu’ Taregen Kabhi Na Kabhi ॥
Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai,
To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi,
Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke,
Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥